sarakti jaye hai rukh se naqaab ahista-ahista

March 14, 2008 at 2:59 pm | In my favourite ghazals | 3 Comments

sarakti jaye hai rukh se naqaab ahista-ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista-ahista

javaan hone lage jab woh to ham se kar liya parda
haya yak lakht aayi aur shabaab ahista-ahista

shab-e-furkat ka jaaga hoon farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab ahista-ahista

savaal-e-vasl par un ko uduu kaa Khauf hai itna
dabe honthon se dete hain jawaab ahista ahista
 

hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar ahista ahista
 

woh bedardi se sar kaate ‘Ameer’ aur main kahoon un se
huzoor ahista-ahista janab ahista-ahista…  

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

May 8, 2007 at 7:06 pm | In my favourite ghazals | 5 Comments

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
ham ko ab tak ashiqui ka wo zamaana yaad hai

tujhse milte hi vo kuch bebaak ho jaana mera
aur tera daanton mein vo ungli dabaana yaad hai

kheench lena vo mera parde ka kona daffaatan
aur dupatte se tera vo munh chhupana yaad hai

dopahar ki dhoop mein mere bulaane ke liye
vo teraa kothe pe nange paaon aana yaad hai

Hasrat Mohani

Apne haathon ki lakeeron…

May 1, 2007 at 5:35 pm | In my favourite ghazals | Leave a Comment

apne haathon ki lakeeron mein basaale mujhko
main hoon tera naseeb apna bana le mujhko

mujhse tu poochhane aaya hai vafa ke maani
ye teri sadaadili maar na daale mujhko

khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
kar diya tune agar mere havale mujhko

vaada phir vaada hai main zehar bhi pee jaoon “Qateel”
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko

Qateel Shifai

Blog at WordPress.com. | Theme: Pool by Borja Fernandez.
Entries and comments feeds.